na koī shaḳhs na saaya kahīñ nagar meñ thā
balā kā ḳhvāb-e-tamāshā mirī nazar meñ thā
ubharte Dūbte rishtoñ kī dhuup chhāñv meñ
ik ajnabī kī tarah maiñ bhī apne ghar meñ thā
saroñ ke phuul kī bārish na tham sakī āḳhir
umaDte daar kā sāvan mire nagar meñ thā
taḌap rahī thiiñ darīchoñ meñ Dūbtī kirneñ
guzarte vaqt kā sūraj kahīñ khañDar meñ thā
pukār leñ na kahīñ dhuup meñ ghanī shāḳheñ
bas ek ḳhauf yahī dosto safar meñ thā