Ahmad Mushtaq

ye hum ghazal mein jo harf-o-bayan banate hain

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ye ham ġhazal meñ jo harf-o-bayāñ banāte haiñ
havā-e-ġham ke liye khiḌkiyāñ banāte haiñ
unheñ bhī dekh kabhī ai nigār-e-shām-e-bahār
jo ek rañg se tasvīr-e-jāñ banāte haiñ
nigāh-e-nāz kuchh un kī bhī hai ḳhabar tujh ko
jo dhuup meñ haiñ magar badliyāñ banāte haiñ
hamārā kyā hai jo hotā hai jī udaas bahut
to gul tarāshte haiñ titliyāñ banāte haiñ
kisī tarah nahīñ jaatī fasurdagī dil kī
to zard rañg kā ik āsmāñ banāte haiñ
dil-e-sitam-zada kyā hai lahū kī buuñd to hai
is ek buuñd ko ham be-karāñ banāte haiñ
balā kī dhuup thī din bhar to saa.e bunte the
añdherī raat hai chiñgāriyāñ banāte haiñ
hunar kī baat jo pūchho to muḳhtasar ye hai
kashīd karte haiñ aag aur dhuāñ banāte haiñ
Top Urdushayar.com