Sayed Naseer Shah

dharti mein bhi reng rahi hai KHun ki ek shiryan

Sayed Naseer Shah

dhartī meñ bhī reñg rahī hai ḳhuun kī ik shiryān
patthar kī rag rag meñ machlā ashkoñ kā tūfān
chīḳh havā kī dene lagī hai ek luġhat tartīb
phūloñ kā mauzū-e-suḳhan hai sho.aloñ kī pahchān
dariyā dariyā tūfānoñ ne giit kiye compos
sahrā sahrā dhuul ke bādal baañT ga.e gul-dān
shaam kī ajrak DhūñDh ke laa.e dhuup nahā.e peḌ
shaam kī laalī oḌh ke aayā ambar sā mehmān
terī ḳhātir hī ai mere bhuuk ke maare bhaa.ī
peT pe patthar bāñdh ke royā do jag kā sultān
shāh-'nasīr' karegā apnī āñkheñ kal nīlām
bastī bastī nagrī nagrī kar do ye elaan
Top Urdushayar.com