harf-e-āġhāz-e-sadā-e-kun-fakāñ thā aur maiñ
raqs meñ sūraj thā piilā āsmāñ thā aur maiñ
gir ga.ī muñdrī zamīñ kī dhuup ke tālāb maiñ
justujū meñ ik jahān-e-be-nishāñ thā aur maiñ
raushnī ke dā.ere the TūTte bante rahe
lafz kī taulīd kā zarrīñ samāñ thā aur maiñ
ik shuā se chhāñTnā the rañg ḳhushbū zā.iqe
ek pechīda anokhā imtihāñ thā aur meñ
Than gayā thā ik tanāza iizad o iblīs meñ
darmiyāñ kaun aayā aks-e-nā-tavāñ thā aur maiñ
be-yaqīnī aur yaqīñ kī sarhadeñ vāzeh na thiiñ
imtizāj-e-lā-zamān-o-lā-makāñ thā aur maiñ