Sayed Naseer Shah

hasb-e-farman-e-amir-e-qafila chalte rahe

Sayed Naseer Shah

hasb-e-farmān-e-amīr-e-qāfila chalte rahe
pā-ba-jaulāñ dīda-o-lab-doḳhta chalte rahe
be-basīrat manzileñ gard-e-safar hotī rahīñ
aur ham be-maqsad-o-be-mudda.ā chalte rahe
fasl-e-gul kī chaap thī is tab-e-nāzuk par girāñ
thā safar ḳhushbū kā ġhunche be-sadā chalte rahe
kājalī rātoñ meñ sūraj ke havāle so ga.e
iqtibās apne lahū se le liyā chalte rahe
sū-e-manzil piiTh thī āvārgī jaarī rahī
fāsla har gaam par baḌhtā rahā chalte rahe
jab ye dekhā pairahan kā taar tak baaqī nahīñ
kar ke zeb-e-jism zaḳhmoñ kī qabā chalte rahe
aap kyā ham ḳhud bhī sun paa.e na dil kī dhaḌkaneñ
apne siine par qadam rakh kar sadā chalte rahe
Top Urdushayar.com