safar-ba-ḳhair pa raḳht-e-safar na le jaanā
zamīñ kī hasrateñ ab chāñd par na le jaanā
vidā.a kī shaam inhī sāhiloñ pe rahne do
uThā ke dasht kahīñ apne ghar na le jaanā
mirī thakī huī zulmat-gurez palkoñ se
kahīñ umīd-e-numūd-e-sahar na le jaanā
matā-e-arz thā dhartī pe lauT aayā hai
kisī ko arsh pe bār-e-digar na le jaanā
ye paas hogā to tum sā talāsh kar lūñgā
chale to ho mirā husn-e-nazar na le jaanā