ghuT ke rah jā.ūñgā be-ehsās ġham-ḳhvāroñ ke pech
aa gayā huuñ apne hī kamre kī dīvāroñ ke biich
maiñ mirā dil raat piilā chāñd terī yaad kā
mar rahī hai ik kahānī apne kirdāroñ ke biich
murta.ish haiñ chand sāñseñ to sukūt-e-shahr meñ
koī to zinda hai is malbe ke ambāroñ ke biich
ghuT ke mar jaa.eñ nadāmat se na apne rahnumā
phañs ga.ī haiñ gardaneñ tahsīn ke hāroñ ke biich