jo bhī taḳht pe aa kar baiThā us ko yazdāñ maan liyā
aap bahut hī dīda-var the mausam ko pahchān liyā
jab bhī thakan ne kaaT ke pheñkā dasht-gazīda qadmoñ ko
jaltī ret pe khaal bichā.ī dhuup kā ḳhema taan liyā
apnī anā kā bāġhī dariyā vasl se kyā sarshār huā
us kā nishāñ bhī haath na aayā saarā samundar chhān liyā
qismat ke bāzār se bas ik chiiz hī to le sakte the
tum ne taaj uThāyā maiñ ne 'ġhālib' kā dīvān liyā
zaat sifāt se aarī ho to kaisā ta.āvun ḳhārij kā
aañkh to thī nā-bīnā nāhaq sūraj kā ehsān liyā