tire falak pe kahīñ merā māhtāb nahīñ
vo raushnī kā vasīla tire janāb nahīñ
gañvā chukā hai tū sāqī-e-hauz-e-kausar ko
ki tere zarf meñ ab tak sharāb-e-nāb nahīñ
tirī zabān pe allāh-hū kā na.ara hai
tire shi.ār meñ allāh kī kitāb nahīñ
tū ro rahā hai binā maqsad-e-husainī ke
tirī azā meñ kahīñ zainabī-nisāb nahīñ
tirī nigāh-e-talabgār dīd-e-mehdī hai
tire irāde meñ garmī-e-inqalāb nahīñ
tirī zamīn pe tāġhūt kī hukūmat hai
tire mizāj meñ bū-zar kā iztirāb nahīñ
jo reg-zār ko zarḳhez-o-zarfishān kare
tire vajūd ke sahrā pe vo sahāb nahīñ