Ahmad Mushtaq

phir wahi raat phir wahi aawaz

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
phir vahī raat phir vahī āvāz
mere dil kī thakī huī āvāz
kahīñ bāġh-e-naḳhust se aa.ī
kisī koyal kī dukh-bharī āvāz
abhī chhāyā nahīñ hai sannāTā
aa rahī hai koī koī āvāz
phaḌphaḌāhaT kisī parinde kī
kisī koñpal kī phūTtī āvāz
abhī mahfūz hai tirā chehra
abhī bhūlī nahīñ tirī āvāz
mere bistar pe aa ke leT ga.ī
raushnī kī lakīr sī āvāz
muñh añdhere jagā ke chhoḌ ga.ī
ek sub.h-e-jamāl kī āvāz
din se fursat kabhī mile to suno
shaam kā saaz raat kī āvāz
gūñjtā hai abhī tarāna-e-shauq
vahī āhañg hai vahī āvāz
TeḌhe-meḌhe muḌe-tuḌe mukhḌe
TūTī-phūTī kaTī-phaTī āvāz
baḌe dukh jhiil kar kamā.ī hai
jo bhī hai ye burī-bhalī āvāz
Top Urdushayar.com