zindagī maut kī panāh meñ hai
ye haqīqat mirī nigāh meñ hai
zindagī ġham kā isti.āra hai
dard jīvan ke sāl-o-māh meñ hai
maut ke baad phir se jiinā hai
jaane kyā kyā dil-e-ilāh meñ hai
koī majnūñ kī aañkh se dekhe
kis qadar nuur rū-siyāh meñ hai
itnī raftār raushnī kī nahīñ
jitnī sur.at kisī kī aah meñ hai
mulk-e-kan.ān ġharq-e-zulmat hai
māh-e-kan.ān ab bhī chaah meñ hai
bin laḌe jañg hārne vaale
terā dushman tirī sipāh meñ hai
qabr-e-'naqqāsh' DhūñDne vaalo
merī miTTī ḳhudā kī raah meñ hai