visāl-e-yār tamannā-e-ḳhām hai shāyad
ye daur-e-hijr abhī nā-tamām hai shāyad
jabīn-e-ishq ne jaañ pahlī baar sajda kiyā
tirā nishān-e-qadam vo maqām hai shāyad
maiñ jis kitāb ko har shaam ro ke paḌhtā huuñ
mire sanam kī zabāñ kā kalām hai shāyad
tamām zer zabar pesh aur harfoñ kā
barā-e-soz-o-alam ehtimām hai shāyad
bujhā sakā na maiñ ashkoñ se dil kī ātish ko
mirā fuġhān fuġhānoñ meñ ḳhaam hai shāyad
mirī nigāh meñ jiinā sharaf se marnā hai
tirī nigāh meñ ye sab harām hai shāyad
maiñ aaj phir usī miTTī pe sajda-rez huā
mire ġhurūr kā ye iḳhtitām hai shāyad
tumhāre ishq kī rūdād sun ke lagtā hai
tire sanam kā bhī 'naqqāsh' naam hai shāyad