mizāj-e-shauq meñ māmūriyat kā azm bhī ho
faqat sukūn nahīñ zindagī meñ razm bhī ho
shab-e-aḳhīr charāġhoñ kī lau bujhe to vahāñ
sadā-e-lā se munavvar tumhārī bazm bhī ho
hayāt maut hai andāz-e-haidarī ke baġhair
satīza-gāh meñ harf-e-junūñ pe jazm bhī ho
ba-ma.a shu.ūr-o-irāda-o-justujū-o-ḳhirām
tire nisāb meñ 'naqqāsh' bāb-e-hazm bhī ho