tama.a kā daur hai hātim atā kar
najaf ke shaah sā hākim atā kar
zamīñ par ġhāsiboñ kī hai hukūmat
zamīñ ko mūsī-e-'kāzim' atā kar
tirī dhartī pe terā adl chāheñ
nizām-e-adl kā nāzim atā kar
jo bhūkoñ ko khilā.e narm roTī
hameñ maulā vahī hāshim atā kar
mile shā.ir ko rāz-e-kun-fakūnī
alī ke ilm kā rāqim atā kar
jo kaaTe marhab-o-antar ke sar ko
usī karrār sā jāsim atā kar
tujhe ḳhush aa.e terī lā-makānī
mujhe merā patā lāzim atā kar
har ik nau-shāh ko 'naqqāsh' ke rab
shu.ūr-e-hazrat-e-'qāsim' atā kar