Naqqash Ali Balooch

qatra hun magar raunaq-e-sahra hun bura hun

Naqqash Ali Balooch

Lahore, Punjab, Pakistan

1986
qatra huuñ magar raunaq-e-sahrā huuñ burā huuñ
mazlūm ke zaḳhmoñ kā masīhā huuñ burā huuñ
vo bai.at-e-fir.aun ke qaa.il haiñ so achchhe
maiñ vaqt ke namrūd se uljhā huuñ burā huuñ
tāġhūt-e-zamāna ko vo dete haiñ salāmī
maiñ us ko ḳhatā-kār jo kahtā huuñ burā huuñ
vo shahr meñ karte haiñ añdheroñ kī tijārat
maiñ zulm kī bastī kā ujālā huuñ burā huuñ
vo shāh-e-sitam-kār ke kahte haiñ qasīde
maiñ nauha-e-mazlūm jo kartā huuñ burā huuñ
vo ḳhānqahī diin ke pairav haiñ azal se
maiñ aaj talak sāhab-e-illā huuñ burā huuñ
'naqqāsh' vahī lā hai mire sher-o-suḳhan meñ
anjām shahādat hai maiñ sachchā huuñ burā huuñ
Top Urdushayar.com