Naqqash Ali Balooch

zulf zanjir-e-pa hui jab se

Naqqash Ali Balooch

Lahore, Punjab, Pakistan

1986
zulf zanjīr-e-pā huī jab se
ham asīr-e-ma.āsh haiñ tab se
madrasoñ ne banā diyā naukar
umr saarī gañvā.ī is Dhab se
peT kī aag kyoñ nahīñ bujhtī
justujū kar rahe haiñ ham kab se
ham faqat maañg kar hī jiite haiñ
kaash ġhairat bhī maañg leñ rab se
is ko daulat ne kyā uThānā hai
gir gayā jo hayā ke markab se
ḳhatm-e-qur.āñ hai nekiyoñ ke liye
ham ko matlab nahīñ hai matlab se
shaiḳh-o-sūfī uThā ke chañg-o-rubāb
dekh laḌne chale haiñ marhab se
tīrgī meñ jalā ke diip na.e
dushmanī le rahe haiñ ham sab se
tum ujāloñ kī baat mat karnā
tīrgī shah ke saath hai ab se
chhoḌ 'naqqāsh' harf-e-sachchā.ī
log ḳhā.if haiñ tere maz.hab se
Top Urdushayar.com