Badnam Nazar

gum-shuda mausam ka aankhon mein koi sapna sa tha

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
gum-shuda mausam kā āñkhoñ meñ koī sapnā sā thā
bādaloñ ke uḌte TukḌoñ meñ tirā chehrā sā thā
phir kabhī mil jaa.e shāyad zindagī kī bhiiḌ meñ
jis kī bāteñ pyārī thiiñ aur naam kuchh achchhā sā thā
jāñ-ba-lab hone lagā hai pyaas kī shiddat se vo
ḳhushk registān meñ ik shaḳhs jo dariyā sā thā
ghir gayā hai ab to sho.aloñ meñ mirā saarā vajūd
us kī yādeñ thiiñ to sar par ik ḳhunuk saayā sā thā
us ne achchhā hī kiyā rishtoñ ke dhāge toḌ kar
maiñ bhī kuchh uktā gayā thā vo bhī kuchh uubā sā thā
shahr kī ek ek shai apnī jagah par hai 'nazar'
kyā huā vo aadmī kuchh kuchh jo dīvānā sā thā
Top Urdushayar.com