Badnam Nazar

bagh-e-dil mein koi ghuncha na khila tere baad

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
bāġh-e-dil meñ koī ġhuncha na khilā tere ba.ad
bhuul kar aa.ī na is samt sabā tere ba.ad
terī zulfoñ kī mahak tere badan kī ḳhushbū
DhūñDhtī phirtī hai ik paglī havā tere ba.ad
vahī mele vahī panghaT vahī jhūle vahī giit
gaañv meñ par koī tujh sā na milā tere ba.ad
andhī rātoñ kī syāhī mirā maqdūr huī
koī taarā mire āñgan na girā tere ba.ad
de diyā apne dil-o-jān kā ik ik qatra
aur kyā chāhtī hai terī sadā tere ba.ad
jism merā thā magar ruuh kā mālik thā aur
kaisī ayyārī kā ye raaz khulā tere ba.ad
had-e-imkān talak kirneñ vafā kī bikhreñ
jism merā ka.ī zaḳhmoñ se sajā tere ba.ad
tū hī ġhālib nahīñ ik jaur-e-falak kā maarā
mere ghar aayā hai tūfān-e-balā tere ba.ad
kisī ḳhush-fahmī meñ rahtā hai tū badnām-'nazar'
kaun rakkhegā tujhe yaad bhalā tere ba.ad
Top Urdushayar.com