Ahmad Mushtaq

dhaDakti rahti hai dil mein talab koi na koi

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
dhaḌaktī rahtī hai dil meñ talab koī na koī
pukārtā hai mujhe roz-o-shab koī na koī
shab-e-alam tire saada diloñ pe kyā guzrī
sahar huī to sunā.egā sab koī na koī
zabān band hai āñkhoñ ke band rahne tak
khulegī aañkh to kholegā lab koī na koī
havā-e-sāz-e-alam laakh ehtiyāt kare
laraz hī uThtā hai tār-e-tarab koī na koī
ghane banoñ meñ bhī rasta nikal hī aatā hai
banā hī detī hai qudrat sabab koī na koī
Top Urdushayar.com