Badnam Nazar

jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
jo jhuk ke milte the jalsoñ meñ mehrbāñ kī tarah
hue haiñ sar pe musallat vo āsmāñ kī tarah
mujhe jo kholo to sāhil qarīb kar dūñgā
samundaroñ meñ maiñ rahtā huuñ bādbāñ kī tarah
tumhāre shahar ke jabrī nizām meñ kuchh log
kabhī hañse bhī to āvāz thī fuġhāñ kī tarah
hai tez dhuup safar lambā par tumhārī yaad
hai ek saaya mire sar pe sā.ebāñ kī tarah
na koī patta harā hai na koī phuul khilā
bahār bhī mire ghar aa.ī hai ḳhizāñ kī tarah
na saaf zehan na chehre ke ḳhāl-o-ḳhat raushan
fazāoñ meñ hai har ik shai dhuāñ dhuāñ kī tarah
jahāñ bhī jā.ūñ maiñ vo dasht ho ki dariyā ho
duā.eñ maañ kī chaleñ saath pāsbāñ kī tarah
'nazar' ke naam kā ik shaḳhs kuchh junūnī sā
akelā dasht meñ chaltā hai kārvāñ kī tarah
Top Urdushayar.com