dīvār-o-dar kā naam thā koī makāñ na thā
maiñ jis zamīn par thā vahāñ āsmāñ na thā
maiñ dushmanoñ kī tarah rahā ḳhud se duur kyuuñ
apne sivā to koī mire darmiyāñ na thā
qadmoñ meñ taptī ret thī chāroñ taraf thī aag
aur zindagī ke sar par koī sā.ebāñ na thā
DhūñDī thī maañ kī god meñ jā-e-amāñ magar
bechainiyoñ ko merī vahāñ bhī amaañ na thā
mere safar meñ bhiiḌ jo thī ham-qadam mirī
yādoñ kī thī barāt koī kārvāñ na thā
apne hisār-e-jism meñ kab rah sakā 'nazar'
dekhā gayā thā us ko jahāñ vo vahāñ na thā