Badnam Nazar

hayat DhunDh raha hun qaza ki rahon mein

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
hayāt DhūñDh rahā huuñ qazā kī rāhoñ meñ
panāh māñgne aayā huuñ be-panāhoñ meñ
badan mummy thā nazar barf saañs kafūrī
tamām raat guzārī hai sard bāñhoñ meñ
ab un meñ sho.ale jahannam ke raqs karte haiñ
base the kitne hī firdaus jin nigāhoñ meñ
bujhī jo raat to apnī galī kī yaad aa.ī
ulajh gayā thā maiñ rañgīn shāh-rāhoñ meñ
na jaane kyā huā apnā bhī ab nahīñ hai vo
jo ek umr thā duniyā ke ḳhair-ḳhvāhoñ meñ
mirī talāsh ko jis ilm se qarār aa.e
na ḳhānqāhoñ meñ paa.ī na dars-gāhoñ meñ
Top Urdushayar.com