Badnam Nazar

Tapakte shoalon ki barsat mein nahaunga

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
Tapakte sho.aloñ kī barsāt meñ nahā.ūñgā
ab aa gayā huuñ to is shahar se na jā.ūñgā
kashish hai ghar meñ na bāhar kī raunaqeñ baaqī
yūñhī rahā to kahāñ jā ke muskurā.ūñgā
ye giilī giilī sī ḳhushbū ye narm narm nigāh
tumhāre paas rahā maiñ to bhiig jā.ūñgā
basā sako to basā lo mujhe ḳhayāloñ meñ
ki is dayār meñ dobāra maiñ na ā.ūñgā
qadam sameT ke chalnā bhī siikh jāoge
tumheñ maiñ gaañv kī pagDañDiyāñ dikhā.ūñgā
chalā thā DhūñDne maiñ zindagī kī buniyādeñ
pata na thā ki ḳhud apnā pata na pā.ūñgā
na hūñgā maiñ to mirī dāstān hogī 'nazar'
zamīñ pe dhuup kī sūrat maiñ phail jā.ūñgā
Top Urdushayar.com