Badnam Nazar

dil-o-jaan ke fasane kya hue sab

Badnam Nazar

Sheikhpura, Bihar, India

1941
dil-o-jāñ ke fasāne kyā hue sab
mohabbat ke tarāne kyā hue sab
yahāñ kuchh sūfiyoñ kā ghar thā pahle
vo un ke āstāne kyā hue sab
purānā peḌ bargad kā kahāñ hai
parindoñ ke Thikāne kyā hue sab
kahāñ haiñ shahr ke be-fikr bachche
masarrat ke ḳhazāne kyā hue sab
barastī thī mohabbat āsmāñ se
vo bārish ke zamāne kyā hue sab
tire ash.ār par ye chup sī kyuuñ hai
'nazar' tere divāne kyā hue sab
Top Urdushayar.com