Jigar Moradabadi

har dam duaen dena har lahza aahen bharna

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
har dam duā.eñ denā har lahza aaheñ bharnā
un kā bhī kaam karnā apnā bhī kaam karnā
haañ kis ko hai mayassar ye kaam kar guzarnā
ik bāñkpan se jiinā ik bāñkpan se marnā
jo ziist ko na samjheñ jo maut ko na jāneñ
jiinā unhīñ kā jiinā marnā unhīñ kā marnā
terī ināyatoñ se mujh ko bhī aa chalā hai
terī himāyatoñ meñ har har qadam guzarnā
sāhil ke lab se pūchho dariyā ke dil se pūchho
ik mauj-e-tah-nashīñ kā muddat ke baad ubharnā
ai shauq tere sadqe pahuñchā diyā kahāñ tak
ai ishq tere qurbāñ jiinā hai ab na marnā
har zarra aah jis kā labrez-e-tishnagī hai
us ḳhaak kī bhī jānib ai abr-e-tar guzarnā
dariyā kī zindagī par sadqe hazār jāneñ
mujh ko nahīñ gavārā sāhil kī maut marnā
rañgīniyāñ nahīñ to rānā.iyāñ bhī kaisī
shabnam sī nāznīñ ko aatā nahīñ sañvarnā
ashkoñ ko bhī ye jur.at allāh rī terī qudrat
āñkhoñ tak aate aate phir dil meñ jā Thaharnā
ai jān-e-nāz aa jā āñkhoñ kī raah dil meñ
in ḳhushk naddiyoñ se mushkil ho kiyā guzarnā
ham be-ḳhudān-e-ġham se ye raaz koī sīkhe
jiinā magar na jiinā marnā magar na marnā
kuchh aa chalī hai aahaT us pā-e-nāz kī sī
tujh par ḳhudā kī rahmat ai dil zarā Thaharnā
ḳhūn-e-jigar kā hāsil ik sher-e-tar kī sūrat
apnā hī aks jis meñ apnā hai rañg bharnā
Top Urdushayar.com