kahāñ kī guuñj dil-e-nā-tavāñ meñ rahtī hai
ki thartharī sī ajab jism-o-jāñ meñ rahtī hai
qadam qadam pe vahī chashm o lab vahī gesū
tamām umr nazar imtihāñ meñ rahtī hai
maza to ye hai ki vo ḳhud to hai na.e ghar meñ
aur us kī yaad purāne makāñ meñ rahtī hai
pata to fasl-e-gul-o-lāla kā nahīñ mālūm
sunā hai qurb-o-javār-e-ḳhizāñ meñ rahtī hai
maiñ kitnā vahm karūñ lekin ik shuā-e-yaqīñ
kahīñ navāh-e-dil-e-bad-gumāñ meñ rahtī hai
hazār jaan khapātā rahūñ magar phir bhī
kamī sī kuchh mire tarz-e-bayāñ meñ rahtī hai