siine meñ agar ho dil-e-bedār-e-mohabbat
har saañs hai paiġhambar-e-asrār-e-mohabbat
vo bhī hue jaate haiñ taraf-dār-e-mohabbat
achchhe nazar aate nahīñ āsār-e-mohabbat
hoshyār ho ai be-ḳhud-o-sarshār-e-mohabbat
iz.hār-e-mohabbat! are iz.hār-e-mohabbat
tā-der na ho dil bhī ḳhabar-dār-e-mohabbat
ik ye bhī hai andāz-e-fusūñ-kār-e-mohabbat
tauhīn-e-nigāh-e-karam-e-yār kahāñ tak
dam lene de ai lazzat-e-āzār-e-mohabbat
sab phūñk diye ḳhār-o-ḳhas-e-maz.hab-o-millat
allāh-re yak-sho.ala-e-ruḳhsār-e-mohabbat
kaunain se kyā ahl-e-mohabbat ko sarokār
kaunain hai ḳhud hāshiya-bardār-e-mohabbat
jo arsh kī rif.at ko bhī us dar pe jhukā de
aisā bhī koī jazba-e-sarshār-e-mohabbat
maiñ ne inheñ tārīk fazāoñ meñ bhī akasr
dekhe haiñ baraste hue anvār-e-mohabbat
nāseh ko hai kyuuñ merī mohabbat se sarokār
chehre se to khulte nahīñ āsār-e-mohabbat
maiñ aur ye namkīn-e-ġham-e-ishq are tauba
tū aur ye ehsās-e-girāñ-bār-e-mohabbat!
ab arz-e-mohabbat kī 'jigar' kyuuñ nahīñ jur.at
vo sāmne haiñ garm hai bāzār-e-mohabbat