us kī nazroñ meñ intiḳhāb huā
dil ajab husn se ḳharāb huā
ishq kā sehr kāmyāb huā
maiñ tirā tū mirā javāb huā
har nafas mauj-e-iztirāb huā
zindagī kyā huī azaab huā
jazba-e-shauq kāmyāb huā
aaj mujh se unheñ hijāb huā
maiñ banūñ kis liye na mast-e-sharāb
kyuuñ mujassam koī shabāb huā
nigah-e-nāz le ḳhabar varna
dard mahbūb-e-iztirāb huā
merī barbādiyāñ durust magar
tū batā kyā tujhe savāb huā
ain qurbat bhī ain furqat bhī
haa.e vo qatra jo habāb huā
mastiyāñ har taraf haiñ āvāra
kaun ġhārat-gar-e-sharāb huā
dil ko chhūnā na ai nasīm-e-karam
ab ye dil rau-kash-e-habāb huā
ishq-e-be-imtiyāz ke hāthoñ
husn ḳhud bhī shikast-yāb huā
jab vo aa.e to pesh-tar sab se
merī āñkhoñ ko izn-e-ḳhvāb huā
dil kī har chiiz jagmagā uTThī
aaj shāyad vo be-naqāb huā
daur-e-hañgāma-e-nashāt na pūchh
ab vo sab kuchh ḳhayāl o ḳhvāb huā
tū ne jis ashk par nazar Daalī
josh khā kar vahī sharāb huā
sitam-e-ḳhās-e-yār kī hai qasam
karam-e-yār be-hisāb huā