mohabbat meñ ye kyā maqām aa rahe haiñ
ki manzil pe haiñ aur chale jā rahe haiñ
ye kah kah ke ham dil ko bahlā rahe haiñ
vo ab chal chuke haiñ vo ab aa rahe haiñ
vo az-ḳhud hī nādim hue jā rahe haiñ
ḳhudā jaane kyā kyā ḳhayāl aa rahe haiñ
hamāre hī dil se maze un ke pūchho
vo dhoke jo dānista ham khā rahe haiñ
jafā karne vāloñ ko kyā ho gayā hai
vafā kar ke bhī ham to sharmā rahe haiñ
vo aalam hai ab yaaro aġhyār kaise
hamīñ apne dushman hue jā rahe haiñ