Jigar Moradabadi

koi ye kah de gulshan gulshan

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
koī ye kah de gulshan gulshan
laakh balā.eñ ek nasheman
qātil rahbar qātil rahzan
dil sā dost na dil sā dushman
phuul khile haiñ gulshan gulshan
lekin apnā apnā dāman
ishq hai pyāre khel nahīñ hai
ishq hai kāre-shīsha-o-āhan
ḳhair mizāj-e-husn kī yā-rab
tez bahut hai dil kī dhaḌkan
aa ki na jaane tujh bin kab se
ruuh hai lāsha jism hai madfan
aaj na jaane raaz ye kyā hai
hijr kī raat aur itnī raushan
umreñ bītīñ sadiyāñ guzrīñ
hai vahī ab tak ishq kā bachpan
tujh sā hasīñ aur ḳhūn-e-mohabbat
vahm hai shāyad surḳhi-e-dāman
barq-e-havādis allāh allāh
jhuum rahī hai shāḳh-e-nasheman
tū ne sulajh kar gesū-e-jānāñ
aur baḌhā dī shauq kī uljhan
rahmat hogī tālib-e-isyāñ
rashk karegī pākī-e-dāman
dil ki mujassam ā.īna-sāmāñ
aur vo zālim ā.īna-dushman
baiThe ham har bazm meñ lekin
jhaaḌ ke uTThe apnā dāman
hastī-e-shā.er allāh allāh
husn kī manzil ishq kā maskan
rañgīñ fitrat saada tabī.at
farsh-nashīñ aur arsh-nasheman
kaam adhūrā aur āzādī
naam baḌe aur thoḌe darshan
sham.a hai lekin dhuñdlī dhu.dlī
saayā hai lekin raushan raushan
kāñToñ kā bhī haq hai kuchh āḳhir
kaun chhuḌā.e apnā dāman
chaltī phirtī chhāñv hai pyāre
kis kā sahrā kaisā gulshan
Top Urdushayar.com