Jigar Moradabadi

ishq hi tanha nahin shorida-sar mere liye

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ishq hī tanhā nahīñ shorīda-sar mere liye
husn bhī betāb hai aur kis qadar mere liye
haañ mubārak ab hai me.arāj-e-nazar mere liye
jis qadar vo dūr-tar nazdīk-tar mere liye
khel hai bāzīcha-e-shām-o-sahar mere liye
do gul-e-bāzī haiñ ye shams o qamar mere liye
vaqf hai sayyād kī ik ik nazar mere liye
haañ mubārak ye shikast-e-bāl-o-par mere liye
garm hai hañgāma-e-shām-o-sahar mere liye
raat din gardish meñ haiñ shams o qamar mere liye
maiñ huuñ vahshī aah kis sahrā-e-āfat-ḳhez kā
hai gul-e-vīrāna bhī begāna-tar mere liye
us maqām-e-ishq meñ huuñ marhabā ai be-ḳhudī
zarra zarra hai jahāñ garm-e-safar mere liye
jazb ho kar rah gayā huuñ maiñ jamāl-e-dost meñ
ishq hai tābinda-tar pā.inda-tar mere liye
maiñ nahīñ kahtā ki maiñ huuñ tū ho terī ḳhalvateñ
haañ magar sab se judā ḳhaas ik nazar mere liye
allāh allāh maiñ bhī kyā nāzuk-dimāġh-e-ishq huuñ
nik.hat-e-gul bhī hai vaj.h-e-dard-e-sar mere liye
phir bhī āñkheñ DhūñDhtī haiñ ik sarāpā naaz ko
maiñ ne maanā kuchh nahīñ hadd-e-nazar mere liye
rahrav-e-rāh-e-talab ko ḳhizr kī hājat nahīñ
zarra zarra hai charāġh-e-rah-guzar mere liye
apne dil meñ juz tire maiñ bhī samā saktā nahīñ
merā har har saañs hai zanjīr-e-dar mere liye
mujh ko jannat hī jo duniyā hai to yā-rab baḳhsh de
bas yahī dāmān-e-tar chashmān-e-tar mere liye
tark-e-mai se aur bhī maiñ to sharābī ban gayā
roz aa jaatā hai mīnā-e-sahar mere liye
jis ne zāhid se bhī kāfir ke uḌā Daale haiñ hosh
us se bhī kuchh aur saaqī tez-tar mere liye
vo mirā sāġhar-ba-kaf honā pashemānī ke saath
abr-e-rahmat kā vo uThnā jhuum kar mere liye
kal shab-e-māhtāb meñ ik bulbul-e-āfat-navā
markaz-e-ġham ban rahā thā raat bhar mere liye
nā-gahāñ lab-hā-e-barg-e-gul se ye aa.ī nidā
naale kartā hai abas ai be-ḳhabar mere liye
maiñ bhī huuñ apnī jagah ḳhūnīñ-jigar ḳhūnīñ-kafan
tū na apnī jaan kho ai musht-e-par mere liye
bas ye sunñā thā ki pā-e-gul pe gir kar mar miTā
ban gayā ik naqsh-e-ibrat umr bhar mere liye
zindagī ik tohmat-e-bejā hai merī zaat par
maut ik ilzām-e-nā-jā.ez 'jigar' mere liye
maiñ to har hālat meñ ḳhush huuñ lekin us kā kyā ilaaj
DabDabā aatī haiñ vo āñkheñ 'jigar' mere liye
Top Urdushayar.com