Jigar Moradabadi

na dekha ruKH be-naqab-e-mohabbat

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
na dekhā ruḳh be-naqāb-e-mohabbat
mohabbat hai shāyad hijāb-e-mohabbat
barastā hai kaif-e-shabāb-e-mohabbat
har aañsū hai jām-e-sharāb-e-mohabbat
ajab josh par hai shabāb-e-mohabbat
mohabbat hai mast-e-sharāb-e-mohabbat
zahe ḳhvāb o tābīr ḳhvāb-e-mohabbat
mohabbat hī niklī javāb-e-mohabbat
mujhe kyā paḌī hai tire dar se uTThūñ
Thaharne jo de iztirāb-e-mohabbat
dil-e-zarra zarra hai tūr-e-tajallī
zahe jalva-e-āftāb-e-mohabbat
sabhī uTh ga.e diida o dil se parde
na uTThā magar ik hijāb-e-mohabbat
na rakkho ġharaz ham se itnā hī kah do
halāk-e-tabassum ḳharāb-e-mohabbat
lahū kī har ik buuñd dil ban ga.ī hai
ḳhushā lazzat-e-kāmyāb-e-mohabbat
hudūd-e-mohabbat se bhī baḌh ga.e ham
salāmat rahe iztirāb-e-mohabbat
Top Urdushayar.com