mohabbat aap apnī tarjumāñ hai
yahī ḳhud chashm o dil lafz o bayāñ hai
nigāhoñ meñ bahār-e-jāvedāñ hai
jahāñ maiñ huuñ vahīñ ab āshiyāñ hai
mohabbat donoñ jānib mehrbāñ hai
ki ham us se vo ham se bad-gumāñ hai
vo kab se muztarib haiñ ai ġham-e-ishq
ḳhudā jaane terī ġhairat kahāñ hai
hamārī rif.atoñ kā pūchhnā kyā
jahāñ ham paañv rakh deñ āsmāñ hai
koī āvāz hī de gum-shuda dil
kahāñ hai o mire yūsuf kahāñ hai
agar tū hai to ai jān-e-do-ālam
yahāñ har shai javāñ jāvedāñ hai
maze soz-e-darūñ ke mil rahe haiñ
ba-hamd-o-lillāh ki dil ātish-ba-jāñ hai
tamāshā dīdanī hai dekh jaao
zabān-e-shauq o gulbāñg fuġhāñ hai
mubārakbād ai jazb-e-mohabbat
unheñ apne par ab merā gumāñ hai
kisī ko ik nazar hī dekh to leñ
ab itnī bhī hameñ jur.at kahāñ hai
tire naqsh-e-qadam kā zarra zarra
ibādat-gāh-e-jān-e-āshiqāñ hai
ilāhī ḳhair karnā der se phir
bahut muztar nigāh-e-rāzdāñ hai
phuñkā jaatā hai dil jis soz-e-ġham se
jahannam meñ ye chiñgārī kahāñ hai
jo paḌh saktā hai to paḌh ai ġham-e-dil
ki in nazroñ meñ aaj ik dāstāñ hai