tire jamāl-e-haqīqat kī taab hī na huī
hazār baar nigah kī magar kabhī na huī
tirī ḳhushī se agar ġham meñ bhī ḳhushī na huī
vo zindagī to mohabbat kī zindagī na huī
kahāñ vo shoḳh mulāqāt ḳhud se bhī na huī
bas ek baar huī aur phir kabhī na huī
vo ham haiñ ahl-e-mohabbat ki jaan se dil se
bahut buḳhār uThe aañkh shabnamī na huī
Thahar Thahar dil-e-betāb pyaar to kar luuñ
ab us ke ba.ad mulāqāt phir huī na huī
mire ḳhayāl se bhī aah mujh ko buad rahā
hazār tarah se chāhā barābarī na huī
ham apnī rindī-o-tā.at pe ḳhaak naaz kareñ
qubūl-e-hazrat-e-sultāñ huī huī na huī
koī baḌhe na baḌhe ham to jaan dete haiñ
phir aisī chashm-e-tavajjoh huī huī na huī
tamām harf-o-hikāyat tamām dīda-o-dil
is ehtimām pe bhī sharh-e-āshiqī na huī
fasurda-ḳhātirī-e-ishq ai ma.āz-allāh
ḳhayāl-e-yār se bhī kuchh shaguftagī na huī
tirī nigāh-e-karam ko bhī aazmā dekhā
aziyyatoñ meñ na honī thī kuchh kamī na huī
kisī kī mast-nigāhī ne haath thaam liyā
sharīk-e-hāl jahāñ merī be-ḳhudī na huī
sabā ye un se hamārā payām kah denā
ga.e ho jab se yahāñ sub.h o shaam hī na huī
vo kuchh sahī na sahī phir bhī zāhid-e-nādāñ
baḌe-baḌoñ se mohabbat meñ kāfirī na huī
idhar se bhī hai sivā kuchh udhar kī majbūrī
ki ham ne aah to kī un se aah bhī na huī
ḳhayāl-e-yār salāmat tujhe ḳhudā rakkhe
tire baġhair kabhī ghar meñ raushnī na huī
ga.e the ham bhī 'jigar' jalva-gāh-e-jānāñ meñ
vo pūchhte hī rahe ham se baat bhī na huī