Ahmad Mushtaq

KHun-e-dil se kisht-e-gham ko sinchta rahta hun main

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
ḳhūn-e-dil se kisht-e-ġham ko sīñchtā rahtā huuñ maiñ
ḳhālī kāġhaz par lakīreñ khīñchtā rahtā huuñ maiñ
aaj se mujh par mukammal ho gayā dīn-e-firāq
haañ tasavvur meñ bhī ab tujh se judā rahtā huuñ maiñ
tū dayār-e-husn hai ūñchī rahe terī fasīl
maiñ huuñ darvāza mohabbat kaa, khulā rahtā huuñ maiñ
shaam tak khīñche liye phirte haiñ is duniyā ke kaam
sub.h tak farsh-e-nadāmat par paḌā rahtā huuñ maiñ
haañ kabhī mujh par bhī ho jaatā hai mausam kā asar
haañ kisī din shākī-e-āb-o-havā rahtā huuñ maiñ
ahl-e-duniyā se ta.alluq qat.a hotā hī nahīñ
bhuul jaane par bhī sūrat-āshnā rahtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com