vo adā-e-dilbarī ho ki navā-e-āshiqāna
jo diloñ ko fat.h kar le vahī fāteh-e-zamāna
ye tirā jamāl-e-kāmil ye shabāb kā zamāna
dil-e-dushmanāñ salāmat dil-e-dostāñ nishāna
kabhī husn kī tabī.at na badal sakā zamāna
vahī nāz-e-be-niyāzī vahī shān-e-ḳhusravāna
maiñ huuñ us maqām par ab ki firāq o vasl kaise
mirā ishq bhī kahānī tirā husn bhī fasāna
mirī zindagī to guzrī tire hijr ke sahāre
mirī maut ko bhī pyāre koī chāhiye bahāna
tire ishq kī karāmat ye agar nahīñ to kyā hai
kabhī be-adab na guzrā mire paas se zamāna
tirī duurī o huzūrī kā ye hai ajiib aalam
abhī zindagī haqīqat abhī zindagī fasāna
mire ham-safīr bulbul mirā terā saath hī kyā
maiñ zamīr-e-dasht-o-dariyā tū asīr-e-āshiyāna
maiñ vo saaf hī na kah duuñ jo hai farq mujh meñ tujh meñ
tirā dard dard-e-tanhā mirā ġham ġham-e-zamāna
tire dil ke TūTne par hai kisī ko naaz kyā kyā
tujhe ai 'jigar' mubārak ye shikast-e-fātehāna