Jigar Moradabadi

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-dīvār ho jaa.e
jise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
vahī mai-ḳhvār hai jo is tarah mai-ḳhvār ho jaa.e
ki shīsha toḌ de aur be-piye sarshār ho jaa.e
dil-e-insāñ agar shā.ista-e-asrār ho jaa.e
lab-e-ḳhāmosh-fitrat hī lab-e-guftār ho jaa.e
har ik be-kār sī hastī ba-rū-e-kār ho jaa.e
junūñ kī rūh-e-ḳhvābīda agar bedār ho jaa.e
sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegī
mujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e
harīm-e-nāz meñ us kī rasā.ī ho to kyūñkar ho
ki jo āsūda zer-e-sāya-e-dīvār ho jaa.e
ma.āz-allāh us kī vārdāt-e-ġham ma.āz-allāh
chaman jis kā vatan ho aur chaman-be-zār ho jaa.e
yahī hai zindagī to zindagī se ḳhud-kushī achchhī
ki insāñ ālam-e-insāniyat par baar ho jaa.e
ik aisī shaan paidā kar ki bātil thartharā uTThe
nazar talvār ban jaa.e nafas jhankār ho jaa.e
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrāna
sabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e
Top Urdushayar.com