Jigar Moradabadi

dil gaya raunaq-e-hayat gai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
dil gayā raunaq-e-hayāt ga.ī
ġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
dil dhaḌakte hī phir ga.ī vo nazar
lab tak aa.ī na thī ki baat ga.ī
din kā kyā zikr tīra-baḳhtoñ meñ
ek raat aa.ī ek raat ga.ī
terī bātoñ se aaj to vaa.iz
vo jo thī ḳhvāhish-e-najāt ga.ī
un ke bahlā.e bhī na bahlā dil
rā.egāñ sa.ī-e-iltifāt ga.ī
marg-e-āshiq to kuchh nahīñ lekin
ik masīhā-nafas kī baat ga.ī
ab junūñ aap hai garebāñ-gīr
ab vo rasm-e-takallufāt ga.ī
ham ne bhī vaz-e-ġham badal Daalī
jab se vo tarz-e-iltifāt ga.ī
tark-e-ulfat bahut bajā nāseh
lekin us tak agar ye baat ga.ī
haañ maze luuT le javānī ke
phir na aa.egī ye jo raat ga.ī
haañ ye sarshāriyāñ javānī kī
aañkh jhapkī hī thī ki raat ga.ī
jalva-e-zāt ai ma.āz-allāh
tāb-e-ā.īna-e-sifāt ga.ī
nahīñ miltā mizāj-e-dil ham se
ġhāliban duur tak ye baat ga.ī
qaid-e-hastī se kab najāt 'jigar'
maut aa.ī agar hayāt ga.ī
Top Urdushayar.com