jaan kar min-jumlā-e-ḳhāsān-e-mai-ḳhāna mujhe
muddatoñ royā kareñge jaam o paimāna mujhe
nañg-e-mai-ḳhāna thā maiñ saaqī ne ye kyā kar diyā
piine vaale kah uThe yā pīr-e-mai-ḳhāna mujhe
sabza o gul mauj o dariyā anjum o ḳhurshīd o maah
ik ta.alluq sab se hai lekin raqībāna mujhe
zindagī meñ aa gayā jab koī vaqt-e-imtihāñ
us ne dekhā hai 'jigar' be-iḳhtiyārāna mujhe