Jigar Moradabadi

ek lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ik lafz-e-mohabbat kā adnā ye fasānā hai
simTe to dil-e-āshiq phaile to zamānā hai
ye kis kā tasavvur hai ye kis kā fasānā hai
jo ashk hai āñkhoñ meñ tasbīh kā daanā hai
dil sañg-e-malāmat kā har-chand nishānā hai
dil phir bhī mirā dil hai dil hī to zamānā hai
ham ishq ke māroñ kā itnā hī fasānā hai
rone ko nahīñ koī hañsne ko zamānā hai
vo aur vafā-dushman māneñge na maanā hai
sab dil kī sharārat hai āñkhoñ kā bahānā hai
shā.ir huuñ maiñ shā.ir huuñ merā hī zamānā hai
fitrat mirā ā.īnā qudrat mirā shānā hai
jo un pe guzartī hai kis ne use jaanā hai
apnī hī musībat hai apnā hī fasānā hai
kyā husn ne samjhā hai kyā ishq ne jaanā hai
ham ḳhāk-nashīnoñ kī Thokar meñ zamānā hai
āġhāz-e-mohabbat hai aanā hai na jaanā hai
ashkoñ kī hukūmat hai aahoñ kā zamānā hai
āñkhoñ meñ namī sī hai chup chup se vo baiThe haiñ
nāzuk sī nigāhoñ meñ nāzuk sā fasānā hai
ham dard-ba-dil nālāñ vo dast-ba-dil hairāñ
ai ishq to kyā zālim terā hī zamānā hai
yā vo the ḳhafā ham se yā ham haiñ ḳhafā un se
kal un kā zamāna thā aaj apnā zamānā hai
ai ishq-e-junūñ-pesha haañ ishq-e-junūñ-pesha
aaj ek sitamgar ko hañs hañs ke rulānā hai
thoḌī sī ijāzat bhī ai bazm-gah-e-hastī
aa nikle haiñ dam-bhar ko ronā hai rulānā hai
ye ishq nahīñ āsāñ itnā hī samajh liije
ik aag kā dariyā hai aur Duub ke jaanā hai
ḳhud husn-o-shabāb un kā kyā kam hai raqīb apnā
jab dekhiye ab vo haiñ ā.īna hai shānā hai
tasvīr ke do ruḳh haiñ jaañ aur ġham-e-jānāñ
ik naqsh chhupānā hai ik naqsh dikhānā hai
ye husn-o-jamāl un kā ye ishq-o-shabāb apnā
jiine kī tamannā hai marne kā zamānā hai
mujh ko isī dhun meñ hai har lahza basar karnā
ab aa.e vo ab aa.e lāzim unheñ aanā hai
ḳhuddārī-o-mahrūmī mahrūmī-o-ḳhuddārī
ab dil ko ḳhudā rakkhe ab dil kā zamānā hai
ashkoñ ke tabassum meñ aahoñ ke tarannum meñ
ma.asūm mohabbat kā ma.asūm fasānā hai
aañsū to bahut se haiñ āñkhoñ meñ 'jigar' lekin
bañdh jaa.e so motī hai rah jaa.e so daanā hai
Top Urdushayar.com