Jigar Moradabadi

ab to ye bhi nahin raha ehsas

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
ab to ye bhī nahīñ rahā ehsās
dard hotā hai yā nahīñ hotā
ishq jab tak na kar chuke rusvā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
TuuT paḌtā hai daf.atan jo ishq
besh-tar der-pā nahīñ hotā
vo bhī hotā hai ek vaqt ki jab
mā-sivā mā-sivā nahīñ hotā
haa.e kyā ho gayā tabī.at ko
ġham bhī rāhat-fazā nahīñ hotā
dil hamārā hai yā tumhārā hai
ham se ye faisla nahīñ hotā
jis pe terī nazar nahīñ hotī
us kī jānib ḳhudā nahīñ hotā
maiñ ki be-zār umr bhar ke liye
dil ki dam-bhar judā nahīñ hotā
vo hamāre qarīb hote haiñ
jab hamārā patā nahīñ hotā
dil ko kyā kyā sukūn hotā hai
jab koī aasrā nahīñ hotā
ho ke ik baar sāmnā un se
phir kabhī sāmnā nahīñ hotā
Top Urdushayar.com