Jigar Moradabadi

kabhi shaKH o sabza o barg par kabhi ghuncha o gul o Khaar par

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
kabhī shāḳh o sabza o barg par kabhī ġhuncha o gul o ḳhaar par
maiñ chaman meñ chāhe jahāñ rahūñ mirā haq hai fasl-e-bahār par
mujhe deñ na ġhaiz meñ dhamkiyāñ gireñ laakh baar ye bijliyāñ
mirī saltanat ye hī āshiyāñ mirī milkiyat ye hī chaar par
jinheñ kahiye ishq kī vus.ateñ jo haiñ ḳhaas husn kī azmateñ
ye usī ke qalb se pūchhiye jise faḳhr ho ġham-e-yār par
mire ashk-e-ḳhūñ kī bahār hai ki muraqqa-e-ġham-e-yār hai
mirī shā.irī bhī nisār hai mirī chashm-e-sehr-nigār par
ajab inqilāb-e-zamāna hai mirā muḳhtasar sā fasāna hai
yahī ab jo baar hai dosh par yahī sar thā zānu-e-yār par
ye kamāl-e-ishq kī sāzisheñ ye jamāl-e-husn kī nāzisheñ
ye ināyateñ ye navāzisheñ mirī ek musht-e-ġhubār par
mirī samt se use ai sabā ye payām-e-āḳhir-e-ġham sunā
abhī dekhnā ho to dekh jā ki ḳhizāñ hai apnī bahār par
ye fareb-e-jalva hai sar-ba-sar mujhe Dar ye hai dil-e-be-ḳhabar
kahīñ jam na jaa.e tirī nazar inhīñ chand naqsh o nigār par
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar'
ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par
Top Urdushayar.com