tabī.at in dinoñ begāna-e-ġham hotī jaatī hai
mire hisse kī goyā har ḳhushī kam hotī jaatī hai
sahar hone ko hai bedār shabnam hotī jaatī hai
ḳhushī minjumala-o-asbāb-e-mātam hotī jaatī hai
qayāmat kyā ye ai husn-e-do-ālam hotī jaatī hai
ki mahfil to vahī hai dil-kashī kam hotī jaatī hai
vahī mai-ḳhāna-o-sahbā vahī sāġhar vahī shīsha
magar āvāz-e-noshā-nosh maddham hotī jaatī hai
vahī haiñ shāhid-o-sāqī magar dil bujhtā jaatā hai
vahī hai sham.a lekin raushnī kam hotī jaatī hai
vahī shorish hai lekin jaise mauj-e-tah-nashīñ koī
vahī dil hai magar āvāz maddham hotī jaatī hai
vahī hai zindagī lekin 'jigar' ye haal hai apnā
ki jaise zindagī se zindagī kam hotī jaatī hai