Jigar Moradabadi

dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
dil meñ kisī ke raah kiye jā rahā huuñ maiñ
kitnā hasīñ gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
duniyā-e-dil tabāh kiye jā rahā huuñ maiñ
sarf-e-nigāh-o-āh kiye jā rahā huuñ maiñ
fard-e-amal siyāh kiye jā rahā huuñ maiñ
rahmat ko be-panāh kiye jā rahā huuñ maiñ
aisī bhī ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
zarroñ ko mehr-o-māh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh se lage haiñ ishq kī azmat ko chaar chāñd
ḳhud husn ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
daftar hai ek māni-e-be-lafz-o-saut kā
saada sī jo nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
aage qadam baḌhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñ
raushan charāġh-e-rāh kiye jā rahā huuñ maiñ
māsūmi-e-jamāl ko bhī jin pe rashk hai
aise bhī kuchh gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq hai
ye jurm gaah gaah kiye jā rahā huuñ maiñ
uThtī nahīñ hai aañkh magar us ke rū-ba-rū
nādīda ik nigāh kiye jā rahā huuñ maiñ
gulshan-parast huuñ mujhe gul hī nahīñ aziiz
kāñToñ se bhī nibāh kiye jā rahā huuñ maiñ
yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair
jaise koī gunāh kiye jā rahā huuñ maiñ
mujh se adā huā hai 'jigar' justujū kā haq
har zarre ko gavāh kiye jā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com