Ahmad Mushtaq

chhaT gaya abr shafaq khul gai tare nikle

Ahmad Mushtaq

Lahore, Punjab, Pakistan

1933
chhaT gayā abr shafaq khul ga.ī taare nikle
band kamroñ se tire dard ke maare nikle
shāḳh par pañkhuḌiyāñ hoñ ki palak par aañsū
tere dāman kī jhalak dekh ke saare nikle
tū agar paas nahīñ hai kahīñ maujūd to hai
tere hone se baḌe kaam hamāre nikle
tere hoñToñ merī āñkhoñ se na badlī duniyā
phir vahī phuul khile phir vahī taare nikle
rah ga.ī laaj mirī arz-e-vafā kī 'mushtāq'
ḳhāmushī se tirī kyā kyā na ishāre nikle
Top Urdushayar.com