Jigar Moradabadi

jehl-e-KHirad ne din ye dikhae

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
jehl-e-ḳhirad ne din ye dikhā.e
ghaT ga.e insāñ baḌh ga.e saa.e
haa.e vo kyūñkar dil bahlā.e
ġham bhī jis ko raas na aa.e
zid par ishq agar aa jaa.e
paanī chhiḌke aag lagā.e
dil pe kuchh aisā vaqt paḌā hai
bhāge lekin raah na paa.e
kaisā majāz aur kaisī haqīqat
apne hī jalve apne hī saa.e
jhūTī hai har ek masarrat
ruuh agar taskīn na paa.e
kār-e-zamāna jitnā jitnā
bantā jaa.e bigaḌtā jaa.e
zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbat
jī hai ki zālim umDā aa.e
husn vahī hai husn jo zālim
haath lagā.e haath na aa.e
naġhma vahī hai naġhma ki jis ko
ruuh sune aur ruuh sunā.e
rāh-e-junūñ āsān huī hai
zulf o mizha ke saa.e saa.e
Top Urdushayar.com