Jigar Moradabadi

tujhi se ibtida hai tu hi ek din intiha hoga

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
tujhī se ibtidā hai tū hī ik din intihā hogā
sadā-e-sāz hogī aur na sāz-e-be-sadā hogā
hameñ ma.alūm hai ham se suno mahshar meñ kyā hogā
sab us ko dekhte hoñge vo ham ko dekhtā hogā
sar-e-mahshar ham aise āsiyoñ kā aur kyā hogā
dar-e-jannat na vā hogā dar-e-rahmat to vā hogā
jahannam ho ki jannat jo bhī hogā faisla hogā
ye kyā kam hai hamārā aur un kā sāmnā hogā
azal ho yā abad donoñ asīr-e-zulf-e-hazrat haiñ
jidhar nazreñ uThāoge yahī ik silsilā hogā
ye nisbat ishq kī be-rañg laa.e rah nahīñ saktī
jo mahbūb-e-ḳhudā kā hai vo mahbūb-e-ḳhudā hogā
isī ummīd par ham tālibān-e-dard jiite haiñ
ḳhoshā dard de ki terā aur dard-e-lā-davā hogā
nigāh-e-qahr par bhī jān-o-dil sab kho.e baiThā hai
nigāh-e-mehr āshiq par agar hogī to kyā hogā
siyānā bhej degā ham ko mahshar se jahannam meñ
magar jo dil pe guzregī vo dil hī jāntā hogā
samajhtā kyā hai tū dīvāngān-e-ishq ko zāhid
ye ho jā.eñge jis jānib usī jānib ḳhudā hogā
'jigar' kā haath hogā hashr meñ aur dāman-e-hazrat
shikāyat ho ki shikva jo bhī hogā barmalā hogā
Top Urdushayar.com