Jigar Moradabadi

aankhon ka tha qusur na dil ka qusur tha

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
āñkhoñ kā thā qusūr na dil kā qusūr thā
aayā jo mere sāmne merā ġhurūr thā
tārīk misl-e-āh jo āñkhoñ kā nuur thā
kyā sub.h hī se shām-e-balā kā zuhūr thā
vo the na mujh se duur na maiñ un se duur thā
aatā na thā nazar to nazar kā qusūr thā
har vaqt ik ḳhumār thā har dam surūr thā
botal baġhal meñ thī ki dil-e-nā-subūr thā
koī to dardmand-e-dil-e-nā-subūr thā
maanā ki tum na the koī tum sā zarūr thā
lagte hī Thes TuuT gayā sāz-e-ārzū
milte hī aañkh shīsha-e-dil chuur chuur thā
aisā kahāñ bahār meñ rañgīniyoñ kā josh
shāmil kisī kā ḳhūn-e-tamannā zarūr thā
saaqī kī chashm-e-mast kā kyā kījiye bayān
itnā surūr thā ki mujhe bhī surūr thā
palTī jo rāste hī se ai āh-e-nā-murād
ye to batā ki bāb-e-asar kitnī duur thā
jis dil ko tum ne lutf se apnā banā liyā
us dil meñ ik chhupā huā nashtar zarūr thā
us chashm-e-mai-farosh se koī na bach sakā
sab ko ba-qadr-e-hausla-e-dil surūr thā
dekhā thā kal 'jigar' ko sar-e-rāh-e-mai-kada
is darja pī gayā thā ki nashshe meñ chuur thā
Top Urdushayar.com