Jigar Moradabadi

nazar mila ke mere pas aa ke luT liya

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
nazar milā ke mire paas aa ke luuT liyā
nazar haTī thī ki phir muskurā ke luuT liyā
shikast-e-husn kā jalva dikhā ke luuT liyā
nigāh nīchī kiye sar jhukā ke luuT liyā
duhā.ī hai mire allāh kī duhā.ī hai
kisī ne mujh se bhī mujh ko chhupā ke luuT liyā
salām us pe ki jis ne uThā ke parda-e-dil
mujhī meñ rah ke mujhī meñ samā ke luuT liyā
unhīñ ke dil se koī us kī azmateñ pūchhe
vo ek dil jise sab kuchh luTā ke luuT liyā
yahāñ to ḳhud tirī hastī hai ishq ko darkār
vo aur hoñge jinheñ muskurā ke luuT liyā
ḳhushā vo jaan jise dī ga.ī amānat-e-ishq
rahe vo dil jise apnā banā ke luuT liyā
nigāh Daal dī jis par hasīn āñkhoñ ne
use bhī husn-e-mujassam banā ke luuT liyā
baḌe vo aa.e dil o jaañ ke lūTne vaale
nazar se chheḌ diyā gudgudā ke luuT liyā
rahā ḳharāb-e-mohabbat hī vo jise tū ne
ḳhud apnā dard-e-mohabbat dikhā ke luuT liyā
koī ye luuT to dekhe ki us ne jab chāhā
tamām hastī-e-dil ko jagā ke luuT liyā
karishmā-sāzi-e-husn-e-azal are tauba
mirā hī ā.īna mujh ko dikhā ke luuT liyā
na luTte ham magar un mast añkhḌiyoñ ne 'jigar'
nazar bachāte hue DabDabā ke luuT liyā
Top Urdushayar.com