Jigar Moradabadi

aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae

Jigar Moradabadi

Moradabad, Uttar pradesh, India

1890-1961
āñkhoñ meñ bas ke dil meñ samā kar chale ga.e
ḳhvābīda zindagī thī jagā kar chale ga.e
husn-e-azal kī shaan dikhā kar chale ga.e
ik vāqi.a sā yaad dilā kar chale ga.e
chehre tak āstīn vo lā kar chale ga.e
kyā raaz thā ki jis ko chhupā kar chale ga.e
rag rag meñ is tarah vo samā kar chale ga.e
jaise mujhī ko mujh se churā kar chale ga.e
merī hayāt-e-ishq ko de kar junūn-e-shauq
mujh ko tamām hosh banā kar chale ga.e
samjhā ke pastiyāñ mire auj-e-kamāl kī
apnī bulandiyāñ vo dikhā kar chale ga.e
apne faroġh-e-husn kī dikhlā ke vus.ateñ
mere hudūd-e-shauq baḌhā kar chale ga.e
har shai ko merī ḳhātir-e-nāshād ke liye
ā.īna-e-jamāl banā kar chale ga.e
aa.e the dil kī pyaas bujhāne ke vāste
ik aag sī vo aur lagā kar chale ga.e
aa.e the chashm-e-shauq kī hasrat nikālne
sar-tā-qadam nigāh banā kar chale ga.e
ab kārobār-e-ishq se fursat mujhe kahāñ
kaunain kā vo dard baḌhā kar chale ga.e
shukr-e-karam ke saath ye shikva bhī ho qubūl
apnā sā kyuuñ na mujh ko banā kar chale ga.e
lab thartharā ke rah ga.e lekin vo ai 'jigar'
jaate hue nigāh milā kar chale ga.e
Top Urdushayar.com